Insan Kyun Nahin Badalta

Is qaynaat me inan ko sabse khubsurat banaya gaya hai, aur use sasbe badi cheez aqal di gayee hai jiske madhyam se wo sahi aur agalat ki pahchan kar sakta hai. Jahan insan har pahloo me sochna behtar samjhta hai wahi barahaa aisi galaati kar deta hai ki use karne se pahle uska shaoor bhi nahin hota. Bahrahaal, is blog post me baat karne ja rahe hain hum “Insan Kyun Nahin Badalta” ke bare me aur dekhenge ki aakhir insan ko kaun aisi cheez hai jo badalne se rokti hai.

Baat Shuru Karte Hain Is Video Se

Ek ishare me iche ka video aapko bata dega ki aakhir insan kyun nahin badalta, magar aur bhi cheezien samjhne aur janne ke liye uske aage padhna bhi munasib hoga. To chaliye pahle dekhte hain is video ko:

Is video ke ander ki khas baat jo ki point karne wali hai:

  • Insan ghar badalta hai
  • Rishte badalta hai
  • Libas badalta hai
  • Dost badalta hai

Magar phir bhi insan pareshan kyun rahta hai? Sochne wali baat hai ki itni sari badlaw ke bawjood bhi insan pareshani ka shikra kyun ho jata hai. Darasl, insan ke bahar ka jo dikhta hai uske badalne se sabkuch nahin badal jata – kapde, dost, rishte aur bahut si cheezein ye sab ander ke duniya ko nahin badal skati. Hamare baatin yani ander ki duniya ko badalne ke liye sabse aham cheez hai Khud ka rishta Rabb se jodna. Wo sabhi cheezein karna jo waqai me hamari zindagi ko sahi bannae ke liye hi hai.

Abhi Se Bhi Waqt Hai

Jahan humkitna kharch kar dalte hain sabkuch badalne me, wahin bina spend kiye bhi bahut si cheezon ko hum apni zindagi me shamil akr kar apne life m,e bahut zyada badlaw la sakte hain. Hamara qalbi sukoon sirf Rabb se talluq jodne me hi hai. Duniya aur usme logon ke iye hum kya kya nahin karte magar jo karna zaroori hai hum uksa sochte bhar nahin. To abhi bhi zyada der nahi hui hai.

Read Also:

Pyar Kya Hota Hai

Pardesiyon Ki Zindagi

Follow the Author:

By Akram Khan

I am a professional blogger and an English Language Trainer. Currently, I am guiding students who are preparing for IELTS General Training and Academic exams through englishperiod.com. With a 7.5 score myself, I train and provide test takers with strategies, tips, and nuances on how to crack the IELTS exam.

2 thoughts on “Insan Kyun Nahin Badalta: The Bitter Truth”

Leave a Reply

%d bloggers like this: