Is Inspirational Ghazal me baat karne ja rahe hain hum ek aisie nazariye pe jo ki logo me common to hoti hai magar uski koe haqeeqat nahin hoti kyunki cheezein aksar uske ulat hoti hai jo soch se guzar rahi hoti hai. To wo kaun sa nazariya hai dekhte hain is video me ghazal se jo ki follow ki gayee hai text se bhi:
Inspirational Ghazal
Parakhna mat parakhne me koe apna nahin rahta
Kisi bhi aaine me der tak chehra nahin rahta
Bade logon se milne me hamesha faasla rakhna
Jab dariya samander me mile, dariya nahin rahta
Hazaron log so gaye kagaz ki qabron me
Ajeb maa hoon koe bachcha merza zinda nahin rahta
Tumhara shahar to bilkul naye andaz wala hai
Hamare shahara me bhi ab koe humsa nahin rahta
Mohabbat ek khushboo hai hamesha sath rahti hai
Koe Insan tanhai me bhi kabhi tanha nahin rahta
Hare mausam ka badal phir ye ailan karta hai
Khizan ke bad jab ek bhi patta nahin rahta
Kya Badalne Ki Zaroorat Hai?
Isase bakhoobhi maloom chalta hai ki hame apna nazariya badalna chahiye kyunki jis way se hum cheezon ko dekh rahe hote hain zaroori nahin hai ki haqeeqat waisa hi ho. Hamare soch ke baraqs sab cheezein ho skati ahi. Ilsiye kisi ke bare m,e kuch negative sochne se pahle hazaar bar hum gaur karen ki kya bolne ja rhae hain ya uske bare me soch rahe hain. Ek to ghalat sochne ka gunah shamil to hai hi sath me hum khud ko bhi askar pareshan karte hai fizool ke aise khyalat se jo darsal wajood me n=hi nahi hoti.
[…] Read Also | Kisi Bhi Aaine Me Der Tak […]
[…] Read Also | Inspirational Ghazal – Kisi Bhi Aaine Mein […]