Hum apni museebat me aise shakhs ko dhoondhte hain jo hamara sath de sake, aur aksar hum apne close logon ke taraf daudte hain. Magar, haqeeqat me hamare liye kaun daudta hai iske bare me hum is post ” Sad And Emotional Ghazal” ke ander dekhenge is niche wale video ke sath shuru karte huwe:
Museebaton me koe kisi ka nahin hota
Jisko hum apna samjhte hain wahi apna nahin hota
Par main sochta hun kabhi-kabhi ki kya hota
Agar maa ka palloo aur pita ka saya nahin hota
Na kisi ko fikr hoti na hi koe humdard hota
Phir ye Raza Jaisa hai abhi waisa nahin hota
Read Also | Kisi Bhi Aaine Me Der Tak
Zindagi me har cheez paisa nahin hota
Pyar isase hum chahte wo pyar hi nahin hota
Ghar aisa pyar aur kahin bhi nahin hota
Magar humko us pyar ka qadar nahin hota
Kya karoge aisi mohabbat paakar jisme
Tumhara chayn aur suookn hi nahin hota
No One is There for You
Dar haqeeqat aisa koe bhi nahin hai jo hamari mushkilat me amara sath de, har koe pahle apna to lagta hai, magar jab zaroorat padti hai to ghayr ban jate hain. Hamari zarooraton ko pura karne wali zaat sirf Khuda ki hai jo har hal me humpe raham karte hai, aur hame kabhi tanha nahin chorta. To, is manzar ko samne rakhte huwe hame ye yaad rahna chahiye ki hame sirf asal rishta Khuda se jodna hai kyunki puri duniya sath chor skati magar wo nahin, wo 7o maa se bhi zyada humse pyar karta hai.
Read Also | Insan Kyun Nahin Badalta
Ye duniya hai apki zaroorat me to samne nahin dikhti magar apni zaroorat me torch chala kar aapko dhoondhegi aur shayad tab tak apke sath nazar aayegi jab tak unki matlab puri na ho jaye. To hame dekhna hai ki hum kisase tawaqqo laga rahen hai, aur kya wo hamare mushkilat me aise nazar aayenge jaisa ki hum soch rahe hain. Kaise lagi apko ye Sad And Emotional Ghazal? Comment me apni raay zaroor likhen. thanks for Reading!