Jahan Duniya me hum apna lamha ba lamha paisa aur saman ikattha karne me lage huwe hain, wahin is 8 saal ki ladki ki Heart Touching Story kya ishara karti hai ispe bhi tawajjo dena bahut zaroori hai. Caring ke anmol kahjane ka ye ek tohfa aapki zindagi me bhi shamil ho skata hai behad hi chhote qeemat par.
Aaiye Shuru Karte Hain Is Video Se:
8 Saal Ki Ladki
Ek 8 Saal Ki Ladki Ek Icecream parlor jati hai aur waiter se ek icecream ka daam puchti hai. Waiter kehta hai 15 ki hai, Ladki apna pocket check karyi ahi, aur phir kehti hai wo chhote wali kitne ki hai. Waiter bahut zyada gussa hokar bolta hai 12 ki hai. Wo bachi kehti hai chhoti wali de dijiye. Uske bad se wo paise deti hai, baithkar khati ai aur then chali jati hai.

The Moment: Heart Toching Story
Jab ladki wahan se chali jati hai, tab waiter plate uthane jata hai, aur jab wo wahan qadam rkhta hai to uske aankhon se aansoon jari ho jate hai kyunki wo ladki wahan wo 3 rupaye tip ke taur pe chhod gae hoti hai jo usne bade ke badle chote wale icecream khareedkar bachaye the.

Kahani Se Seekh
Is chhoti si bachi ki heart touching story se ek bahut zabardast lesson ye milta hai ki hamare pas jo kuch bhi hai usi me se share kar kar dusron ko khush karne ki koshish karni chahiye. Yaqeen maniye agar haamre chalte koe khush ho jata hai to ye khushi duniya se badhkar hai. Hamari ek choti si care ya khyal agar kisi ke dil me khushi dakil kar paye to isase behtar zindagi ke ehsas aur kya ho sakega.

Isliye hame chahiye ki zindagi me thoda khud k alawa auron ka bhi khyal karen aur hamare pas jo kuch bhi hai Khuda k dwara di hui usi me so Khuda ke banaye aur makhlooq par bhi thod sa kharch karen aur khush karte rahen.

[…] 8 Saal Ki Ladki: Heart Touching Story […]