Aaj-kal ki generation ki kya hi kaha jaye – Maa-Baap ki sunti hi nhi aksar, aur baaz dafa to unhe kya-kya batarin bhi suna di jati hai. Na Mat Kehna us situation ko highlight krta hai jo Maa ne apne aulad ke liye bachpan me kiya aur aulad ko uske budhape me kya karna chahiye.
Aaiye Shuru Karte Hain Is Video Se:
Na Mat Kehna
Jab tuttu thi bartan, bachpan me tujhse
Ab maa se tut jate to kuch mat kehna
Ja bachpan me usase gubbara manga krte the
ab wo chashma mange to na mat kehna
Jab anga karte the chocolate bachpan me usase
Ab wo dawai mange to na mat kehna
Jab wo daantti thi, sharrat tujhse hoti thi
Ab wo sun na paye to use bura mat kehna
Jab tumhe chalna nahi aata tha, wo tujhe chalati thi,
Ab wo chalna na sake to sahara uska banna

Uske Kurabaniyon Ka Badla Dijiye
Maa-Baap ka hampe zindagi par aisa ehsan hai ki agar hum apne badan ke chamdi ka jooti banakar bhi unhe pahna den to bhi unke ehsan ka badla nhi utrega. Hum chahe kuch bhi de den unhe magar unhone hame Zindagi di hai, aur iska badla hum kisi qeemat par nahin utar sakte. Isliye agar kuch karna pde unke liye to na mat kehna

Uska Budhapa Hamari Jawani
Jab hum chhote the to maa ki ek-ek kurbaniyon ke badaulat humne chalna, bolna wagairah sikha. Usi ki badaulat qadam ko aage badhate rhe. To jab aaj unhe hamari need hai to hume usi qadam ko unki taraf badhana chahiye. Unki har ek zaroorat ko poori krke uff tak nahi kehna chahiye. Bhulkar bhi unhe na mat kahiye.

Hum jo kuch bhi karenge unke liye usme aona hi fayda hai kyunki jab hum budhape ko.pahunchege to hume bhi apni aulad se wahi cheezein milengi jo humne aage ke liye jama ki. Isliye har dafa jab unhe koe hajat ho to na mat kehna.

[…] Na Mat Kehna: Maa Ka Budhapa […]