Waise to safar ki zindagi ya pardesi zindagi me baut si aazmaishein hoti hain, magar shahar ka akelapan aur wahan guzarti hui zindagi ek ajeeb hi ehsas dila jati hai. Usi me sabse alag tarah ki feeling wo hai ki aap har din ek jaisa hi guzar rahe hote hain, aur milne wala shakhs koe bhi apnapan ka ehsas nahin dilata. Ghar Nahin Milta Poetry apko usi ehsas ki maujudgi ko feel karayegi.
Ghar Nahin Milta Ghazal
Ye poetry likhi gayee hai mere dost aur mere dwara. Ummeed karta hun ki ye apko wo ehsas ki galiyon se zaroor guzar degi jisko sochte huwe aapne yahan aakar post padhne ka takleef gawara kiya. To mulaheza farmaiye.
Rahne ko rain basera kidhar nahin milta
Kamra Milta hai magar ghar nahin milta
Hota nahin hai dost koe ahle sukhanwar
Tabeeyat Kharab Ho To Aaakar Nahin Milta
Tanhaiyon Ke chhale qadam se lipat gaye
Raahein hazar koe rah guzar nahin milta
Is Ghazal ko Aaap Video Me Bhi Dekh Sakte Hain
Thak ke girta hai badan sham ke pahar
Dard baante wo humsafar Nahin Milta
Raat aati hai din bhi jata hai
chayn ka magar ek bhi pahar nahin milta