Ye jo zindagi hai na kabhi hamare hisab se chali thi na kabhi chalegi. Hum ye jo chahen to ye ho, aur ye na chahen to na ho – ye bilkul zaroori nahin. Har pahloo hamare hisab se hona namumkin hai, magar hum ise samjhte hi nahin. To aaiye dekhte hain ki aakhir kya hai zindagi ke saare jhagde aur inke wajah.
हर इंसान यहाँ ख्वाहिशों के पीछ भाग रहा है, कुछ पूरी हो भी जाएँ तो उनकी जगह नही ख्वाहिशे पैदा हो जाती हैं। किसी शायर ने क्या खूब कहा है “मेरी ख्वाहिशें मुझे जीने नही देती और मैं उन्हें मरने नही देता“।
Zindagi Ke Saare Jhagde
Yaqeenan zindagi mukhtasar hai aur isme hamari khwahishon ki koe intehan nahin. Ye ajeeb nahin hai ki hamari khwahishon ki koe limit hi nahin. Jab hum soche ki aakhir zindagi me itni besukooni ki wajah kya hai to aapko ye donon cheezein maloom padengi:
1. Na to gham chahiye
Ji han, aisa hi hai! Hum yahi chahte hain aksar ki bas hamari zindagi me khuhshiyan hi khushiyan ho. Aur ye bhool jate hain ki duniya ek aazamaish ki jagah hai, To beshak isme dard, gham, museebatein bhin hongi. Hamein yah bikul bhi nahin sochna chahiye ki bas hamari zindagi me khushiyan hi khsuhioyan hon.
2. Aur na hi kam chahiye
Hamari khwahishon ki koe fixed manzil hi nahin. Har pal koe ek nayee aarzoo. Jab dekhen ye sapne wo sapne aur sach to ye ki har khwab pura hone pr ek aur naya khwab. Hame khud milne wali nematon par itminan hona chahiye. Aur kabhi guzara karne ko Rabb ki taraf se kam bhi mile to uspe bhi shukr karte rahna chahiye. Hamare liye kya behtar hai aur kya nahin ye baat to hamara Rabb hi janat hai.
Read Also, Zindagi Kya Hai
Pyare Lafz – Doston! Ye duniya, khud ko mutmaeen karne ki jagah bilkul bhi nahin. Agar hum chahte hain ki aage wali duniya me hame bahut si nematein ilen to yahan hame shukr aur qana’at ke sath jeena padega. Yaqeenan agar hum ye chahe ki hame gham aaye hi nahin to ye hame jaan lena chahiye ki is duniya me Nabiyon ke sath bhi aazmaishein hui hain.
ज़िन्दगी ने मेरे मर्ज का एक कारगर इलाज बताया
वक़्त को दवा कहा और ख्वाहिशो का परहेज़ बताया
बेहद खुद 🙌
Thank you